Sunday, September 28, 2008

Satya : Aek abhivyakti :Nayeda


Satya
Annachhadit hai
Prakashit,
Achhadit hai
Dhundhlit,
Madhur hai
Shravan men,
Vikat hai
Vahan men.
Uska hai………..
Apsara se bhi jiyadah
Saundarya aaur
Swarsangat se adhik
Madhurya.,
Hota hai Sach
Him se jiyadah
Sukomal
Sukumar,
Prastar se bhi adhik
Jiddi
Kathor.

Tadit ki bhanti uski
Tivra drishti
Asat ke andheron ko bhede
Uski surya-dev tulya
Shakti
Sabal mithya ko
Parajay de.
Jisne bhi kiya uski
Hatya ka
Sad-yantar
Uske ajey kop se
Hua Nast woh
Tadanantar.


(Hemanta K. Mohanty ki angrezi kavita se prerit bhavanuvad)

No comments: