Sunday, September 28, 2008

Pranam Guruon Ko:Shikshak Divas Par-Nayeda .



Vandan maan ka,
Jo sab guruon se sarvopari hai,
Jisne padhaye path jeene ke.
Aaur Khud se va Aauron se
Prem Karne ke.

Pranam! guruon ko
Jinki badaulat milati rehi hai
Roshani Ilm ki,
Aaaur un anjane guruon ko,
Jinhone mange/bina mange luta diye hain,
Gyan ke aanmol moti hum par,
Jo hamare khazane ko aaur buland banate hain,
Khazana-jise na koi loot sakta hai,
Na chura sakta hai.

Salam ! mere ‘Ustad ji’ ko
Jinhone sikhaya
Hamari jaden hai yehin,
Hamare bujurgon ki rakh/asthiyan
Isi jamin men hai yahin……
Baat rooh ki ho to jadon ko dekho
Patton ko nahin,
Patton ka kya
Har pattjhad men jhadten hai
Har basant men naye hoten hain.
Unki namazon ko salam
Unki azanon ko salam
Unke lalat ke ‘teeke’ ko salam
Jo kisi bhi pujariji ke tilak se kam
Buland nahin tha.

Pranam! ankit ke un ‘pagle ustadji’ ko
Jo apne pariwar ko chhod
Reh gaye the is paar,
Yehin kyonki unhe na thi manzoor
Chand mahatvakankshi rajnitibazon ki
Khinchi hui lakiren.
Jo dikhte the maszid men namaz ke waqt
Ya sanjh savere farsh buharte
Aur Shiv Mandir men bhi
Wahan ka farsh buharte
Aur arpan karte pawan bel-patra,doodh aaur jal.
Jinhone naat-sharif aaur bhajan aek se sur men gaye
Fir chupp ho gaye……
Aaj tak na jan saki unka moun,
Hindu tha, Muslim ya Insaniyat ?

Paye-lagoon,
Chotiwale un brahaman mastarji ko
Jinki biwi ‘dharam-behan’ thi
Pagle Ustadji ki,
Kattar pandit ke ghar men ‘ustadji’ ke liye
Bartan alag the, Magar
Dil bas aek aek aaur nek the.
Pagle ustad unke ‘Saale’ the
Aaur Panditji ‘Bahnoi’
Lad padte the gaon men aek duje ke liye,
Dono aek dusre ke guru the,
Na jane ghanto kya kya charchayen karte the,
Dono ne humen padhaya ‘Sah-astitva’ ko.

Pranam un sab deshi-videshi,
Professors/teachers ko,
Jo guru kam professional jiyadah the,
Magar the to guru………...
Thoda borrowed thoda acquired gyan mila unse,
Sochne Samajhne ki takat ko tarasha unhone,
Reading, Listening, Assertiveness, Liberal attitude,
Firmness,Fairness,Politeness aaur
‘Selfishness’ sikhayee unhone,
Sikhaya aaj ki badalati hawa men saanse lena,
Toofanon men bhi adig rehna,
Sankalpon aaur Vikalpon ka vigyan,
‘Logical Brain’ aaur ‘Loving Heart’ ka santulan,
Aaaur adhurapan bhi,
Jo kayam rakh-ta hai aaj bhi yah jajba, Ki
Hum vidyarthi hai….aaur humen nirantar sikhna hai.

Aaau aab:
Krishna Vande Jagadgurum !

No comments: