Ho jaten hai weh chintatur aaur chintakul,
Jab bhi kuchh ho jata hai ghatit aisa,
Jo leek se hath kar ho,
Bura ho ya achha.
De deten hai use vistar,
Aaudha deten hai chinta ki chaddar
Samaj par---Manavta par.
Swayam hoten hai vichalit , nahin maloom
Karten hai prayas aauron ko kampit karne ka,
Aise log hoten hai ‘Chinta Kumar’
Jinke haath men rehta hai aek
Awardhak Sheesha (Magnifying Glass)
Dekhte rahten hai
Na sirf akhbar ki khabren
Aaas-pas men hone wali chhoti moti ghatnaon ko bhi.
Chinta Kumar yadi hon sakashar
Aaur ho yadi sthaniya lekhak aau kavi to
Karela aaur neem chadha
Ya hoti hai yah kahawat charitarth
Kha Gaya Bichhu Bandariya ko
Fir dekhiye in ke alfaz
Lagane lagega Duniyan ulat rahi hai
Pralay aane wala hai
Aisa hi hua tha do din pahile
Nirmool bhay ka bazaar garm tha
Failaya ja raha ajeeb sa bhram tha,
Jab hua tha aarambh
Vaigyanik maha-prayog ka
Parmanu kshetra men,
Geneva ki prayogshala men
Vishva ke Vaigyanik mil kar
Khoj rahen hai naye aayam (Dimensions)
Karne sidh ‘Big-Bang’ ke sidhant ko
Kar rahen hai anusaran ‘boson’ anusandhan ka
Jiske janak the aek bhartiya vaigyanik Satyendra Bose(1924…..).
Anavrat karega rahasya yah aitihasik prayog
Brahmand ki rachna (construction) ka
Aaur karega marg prasast
Urja kshetra men nayi samabhavnaon (possibilities) ka.
Pralay Premi ‘Chinta Kumaron’ ne faila di thi
Ashankayen srishti ke vinash ki
Charcha thi aam aaur khas men
Kya hoga ? Aaab Kya hoga ? Kya Mahavinah ?
Logon ko yah chatpati khabar ‘achhi’ lag rahi thi
Kyonki unke varshon se jame andh-vishwason ke kareeb thi
Aaaur iske liye unhe jiyadah
Jan-na aaur sochna bhi nahin pad raha tha.
Mahan Vaigyanik aaur Chintak APJ Abdul Kalam ka
Vivekpurna vishleshan bhi
Nakkar-khane men tuti ki aawaj ban gaya tha
Meine socha tha us din,
Humen ‘Chinta’ ki nahin ‘Chintan’ ki hai avashyakata ,
Hamara bhala ho sakta hai ‘Chintakon’ se na ki ‘Chinta Kumaron’ se, jo
Ray Chando (Jo bina samjhe apni ray de deten hai) ki tarha
Pass bhi milten hai door bhi.
Yaad aa rahi hai ‘nari shiksha abhiyan’ ke aarambh men aise hi
Aek Chinta Kumar ki aek kavya abhivyakti:
“Reshami salwar dupatta uncha hai,
Mat jaiyyo Iskool, Mastar lucha hai.”
No comments:
Post a Comment