Sunday, September 28, 2008

Kya Kahiye........ :Nayeda


Nasamajhon ki aek mehfil men,
Yun apni kahani kya kahiye.
Aankhon se baraste hai ansu
Dariya ki rawani kya kahiye.
Bhool gaye hain sab kuchh woh,
Fir baat purani kya kahiye.
Mar mar ke jiye jate hai woh,
Dastane-e-jawani kya kahiye.
Fitrat men basi mayusi jahan,
Jajba-e-shadmani kya kahiye.
Rassi ko samjhaten naag hai woh,
Himmat ki kahani kya kahiye.
Satahon pe bahna muafik jinhe
Unhe gehra pani, kya kahiye.
Har pyar ki manzil bistar hai,
Meera thi deewani kya kahiye.
Pahachane nahin jab milane par,
Raghupati ki nishani kya kahiye.
Soye rahten din men gaphil,
Unhe jagi jindgani kya kahiye.
Woh daab jaten hain kagaj se,
Phoolon ki giraani kya kahiye.
Jo bhatak rahen hai jismo men,
Unhe baat ruhani kya kahiye.
Aankhon par gamon ka parda hai,
Unhe sham suhani kya kahiye.
Jagir likhaye baithen hain ,
Jind aani-jani kya kahiye.
Jehaan ke dariche band rakhe,
Fir masoom nadani kya kahiye.
Baithe hain ghor andheron men
Sochon ki gumani kya kahiye.

No comments: