Sunday, September 28, 2008

Woh Hasin Lamhe..........:Nayeda


Dhaltee Raat men ankhon se nind ka ud jana,
Nazm likhne ki koshish aur kalam ka na chalna.

Socha kyon na duppate ko
Bar-bar ankho tak late
Beete hue lamhon ko
Sameta jaye.
Shayad shab-e-furkat
Gujar Jaye.
Subha ka suraj tumhe
Meri nazron ko nazar kar jaye.
Subaha tum na aaye
Duppata Failaya
Nirkha fir se un beete
Huye nanhe se pyare se
Sunhale palon ko
Jo us door bade desh ke
Chhote Shahar men
Humne sang bitaye the.

Dekh rahi thi
Barf girane ke waqt
Bahir nikal khud ko
Safed Jinn Bana lena.
Ghar ke shishon ke par
Dheere Dheere chalti jindagi dekhna.
Mere sar ke ‘splitting’ dard se
Tira ghabra jana
Hole hole mere sar ko dabana
Chhuan se dard ka gayab ho jana.
Garam coffee ke liye Kat-ti thand men
Door door tak chale jana.

Tumhara Bahir aur mera ghar ka jimma lena.
Saath baith chay ke pyale ke sang
‘Sin’(Single Income) men jine ka budget banana.
Rishtedaron ki ‘Din’(Double Income)
Par takriren karna.,
Bar bar meri degreeyon ka hawala dena,
Chupke chupke hamari taqdiron pe jalna,
Peechhe se hamari bevakufiyon
Ka makhoul udana.
Masalon ki khushboo ke sang
Muluk ka kitchen men chale aana.
Hindi-Paki doston ka sanjha hullad machana.
Ghar ke khane ka vilayati dishon ko hara dena.
Mehdi Hasan, Lataji, Reshma,Noorjehan,Jagjeet
Ko aek hi tehjib ka batana………..
Juda kehne walon se tira aur Wahid ka joron jhagadna.
Sapnon men Karachi, Dhaka aur Jaipur ko aek saath Dekhna.
Tumhe sajde men jhuka aur mujhe mandir men pujte dekhna.

Phoolon ke tyohar ki uttejana,
Ya Cherry Blossom ka madak gulabipan.
Mohabbat,khubsurati aur dosti ki baten.
Naye rangin nazare dekh
Mera chehkana aur chillana.
Tumhara shalinata par
Behuda sa gyan dena,
Fir mere sang mujh sa ho jana.
Bahon ke woh garam ghere.
Nazron ki woh ruhani thandak.
Mere aansuon ko ponchhte tere narm haath.
Mujhe sahara dete tumhare shane
Tire intezar men baithi mein.
Tumhari bistar na chhodne ki jidd.
Woh sanjhi roshan hui diwaliyan.
Who sanjhe manaye Eid.
Shakhs, Ghatanaon aur Sochon
Par bina ruke lamba sa vivechan.
Nana alankaron se sambandhiyon
Ka charchan, rangan aur archan.

Suhane apnayat bhare chhote
Shahar ko chhodne ka gam.
Bade shahar men unche uthne
Aur khud ko sabit karne ka dum.
Hudson dariya ke kanare tehlana.
Baith wahin bhaji paranthe khana.
Brooklyn height ka who pehla ghar.
Dheemin chalon ke aadi ko
New York ki tezi ka daar.
Wahi tabassum wohi hansi tumhari.
Khilti sanjidagi men dubi
Rukhsar ki dimples tumhari.


Yeh chhote chhote aan gin lamhe
Mano lal-o-guhar apni jindagi ke.
Aisa lagta hai jaise natasharif ho
Aapni bhav bhari bandgee ke.

No comments: