Monday, September 29, 2008

Sapne:Man Meet Mere :Nayeda

Chaand nikla
Aur Badlon men chhup gaya tha
Khwahishon se ghiri raat ko
Intezar tha
Sahar ka
Mahtab na sahi
Aftab to bhar dega
Ujalon ki saugaton se
Bewaqt dhundhli hui jindagi ko.

Thahar gayi thi mein
Thithak gayi thi mein
Ruk Ruk kar dekh rahi thi
Khud ko
Ehasas hone laga tha
Woh to band aankhon ka sapna tha
Kya khuli aankho se dekha jisko
Wohi bas apna tha ?

Sapne ek haquiqat hoten hai
Haquiqat se bhi badh kar
Ek haquiqat
Duniyayee haquiqat ko to
Tum badal dete ho
Tod aur marod dete ho
Magar Sapne mahaj sapne hote hain
Waise hi rahte
Jaise woh hote hai.

Kuchh bhi kaho
Kuchh bhi saho
Sapno ko rahne do jindagi men
Unhi se nikali khushboo
Mehkati hai
Haquiqaton ko.

Jab bhi udas hoti hun
Sapne hote hain saangi mere
Haquiqaton ke numaynde
Jab bhi karten hai pareshan mujh ko
Sapne bante sahare mere
Tumhari shayad tum jano
Mein sapno ki pujaran ban
Haqiqaton ko jeena
Seekh rahi hun.

Khuli aankho se dekhti hun
Wahi sapna jo band aankho men
Band hokar murjha gaya tha
Sach mano...aab yeh jindagi
Pur-josh hokar
Khila rahi hai- jila rahi hai
Mere man meet sapno ko.

No comments: