Monday, September 29, 2008

तन्हाई की रातें यूँ ही चली जायेगी................nayeda

Tasviren kitni bana li meine hi
Tasvvur ke taza rangon se.
Takvim se nikal
Takhllus ban gaye sab mausam mire
Tagzzul mira kabhi rota hai kabhi
Tavassum dikhata hai,
Tadveen miri nazmon ki kaun kare ,
Tazbazub se kaun ubare mujh ko.
Tagaphul ashna tum na ho, maloom mujhe
Tadaf ka aalam kuchh aisa,mein kya karun ?

Taz'ein miri jindagi ke tum,
Tazssoos miri har ik ke pukhta jawab ho.
Tazllirez miri duniya ke ho,
Tadbbur pe tiri naz mujhko.
Tazlliyat miri ka shikwa fazul hai,
Tazkiya mira hai tere deedar se.
Tag'eir hal mire ko mat dekh
Tujh ko naza miri lag jayegi.
Tujh bin tujhe soch kar khush hun mein
Tanhayee ki raten yunhi chali jayegi.

(Tasvvur=Kalpana Takvim=Panchang/calendar Takhllus=Pen-name Tagzzul=kavya-lekhan Tavssum=muskan Tazbazub=duvidha/confusion Taghphul ashna=indifferent friend. Taz'ein=decoration Tazssoos=curiosity Tazllirez=One who rediates light Tazkiya=to purify Tag'eir=Change.)

No comments: